Pyas Home

 

           

POETRIES ALREADY PUBLISHED ON INTERNET

NAME OF “PYAS”

 

1.         Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Meri Kavitaye Dohri Dohri

2.         Nind Se Bas Utho

3.         Me Bhi Ashiq

4.         Wah Wah Pyar

            Pyar Me Nakhoon Hai

5.         Aatama Ki Ragging

6.         Usko Dekh Tabiyat Machli

7.         Tu Jab Nahi Uske Hai Saath

8.         Chhaye Hai Ghata Ghanghor

9.         Hasino Ek Do Ankhe Maar Do

10.       Babul Tu Lagne Laga Babool

11.       Ghadhe Ko Ek Din Gussa Aaya

12.       Kal Jo Gam Tha, Aaj Nahi Hai

13.       Prakruti Insan Ko Nahi Samajhati

14.       Har Taklifo Se Laddey, Vah Hai Manav

15.       Pedo Se Kata, Aapno Se Juda Kiya

16.       Eik Andhe Ka Khoon Ho Gaya

17.       Bhari Botal Kitani Haseen Thi

18.       Tera Tabassum, Tera Takallum

19.       Tera Tabusam Jab Yaad Aaya

20.       Jaise Jaise Laga Hosh Main Aane

21.       Dhara Nangi, Nabh Nanga

22.       Her Ladka Apne Main Natak Hai

23.       Main Isk Nahi Karta Khoon Karta Hu

                        Pahnave Main Rakha Deep Cut

24.       Duniya Kari Ulti Palti

25.       Jo Mann Ho Guru Kabira

26.       Gandagi Ke Beech Jeena Bhi Koyi Jeena Hai

27.       Chadhna Hain Kitna Muskil

28.       Asabhya Janawar

29.       Eik Din Aisa Hua, Bistar Se Vah Ghabraye

30.       Kabhi Bundo Bundo Main Milti Hai

31.       Isk Nahi Karta Main Vyapaar Karta Hu

32.       Chand Main Aag Lagi, Chandani Bhag Gayi

33.       Jooth Ne Sach Se Kaha

34.       Achchha Kiya Ya Bura Kiya

35.       Sayari Ho To Sahi Dad Bhi Ho

36.       Main Kahta Hu Usse, Mujh Ko Tujh Se Hai Pyar

37.       Ban Ke Bhar Jab Bahar Aaya

38.       Sun Rahi Preet Ki Aahaat To Dekho

39.       Main Jitna Khana Khata Hu

40.       Teri Barso Barso Se Baat Tohi Hai

41.       Main Toota Mann Se

42.       Jab Se Gayee Hai Dhoop

43.       Teri Seerat Main Jo Sona Hai

44.       Jivan Ne Jo Baat Kahi Thi

45.       Band Ankhen, Neechee Ankhen

46.       Tune Hai Jo Saada Roop Dikhaya

47.       Main Kaise Manu Koyee Mera Hai

48.       Andhe Isk Ka Junoon to Dekho

49.       Pyas Liye Jo Pyase Hain.

50.       Tu Mera Bhagwan

51.       Andhere Se Ujalye Main Aaya.

52.       Main Khud Katar Hua

53.       Riste Ghar Main Paida Nahi Hote

 

1                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

Meri Kavitaye Dohri Dohri

Syam Socho, Nikli Dupahari

Upar Upar Doodh, Niche Rabdi

Nasamajh Ki Samajh Adoori

Grahan Kiya Jo Satya Tathya

Har Pyas Se Ho Jaye Doori

----------------------------

2                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Nind Se Bas Utho

Swapno Se Hato

 

Is Julm Se Bacho

Khyalo Se Kato

 

Nahi To Bas,

Jhooth Le Mito

 

“Pyas” Le Le,

Yu Hi Na Looto

----------------------------

3                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Bindo Bhi Ashiq

 

Isk Kaisa Marz Hai

Jivan Bas Shard Hai

 

Teri Jhalak Pane Ko Kitna Dil Hai Tarsa

Aankho Se Na Jane Kitna Sawan Hai Barsa

 

Pichhle Janam Se Ab Tak

De De Jivan Jo Khoya Ab Tak

 

He Priyatama Tujhe Dekh Hua Ek Lamba Arsa

 

Dil Me Dhadkan Bas Badh Jaati Hai

Mout Liye Tadhpan Chadh Jati Hai

 

Priytama Kahe Priyatam Na Likho Aisa Waisa

----------------------------

4                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Wah Wah Pyar

 

Nahi Pata, Uske Pyar Me Nakhoon Hai

Ab Mere Dil Se Bas Reesta Khoon Hai

 

Kya Kya Thi Hasrate

Kaise Kaise Ki Kasrate

 

Pyar De De Marna, Kaisa Junoon Hai

 

Jhoot Sach Ki Pudiya Me Parosa

Na Raha Ab Sach Par Bharosa

 

Yeh Kaisa Prar Ka Umda Goun Hai

 

Rajdar Blackmail Karta Hai

Ek Panne Ko Teil Karta Hai

 

Pyar Me Yah Bhi Khas Avgoun Hai

----------------------------

5                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Aatama Ki Ragging

 

Nada Aatama Kya Kar Bethi

Jivan Ke Andar Hai Aa Bethi

 

Mohh Dil Dhadakaye

Lobh Bas Jhukaye

Kroadh Aafat Laye

Dwesh Nafraat De Jaye

Kam Vasna Lanat Laye

 

Paanch Preto Ke Ghere Me Letee

Pyas Pahuchi, Ragging Le Bethi

 

----------------------------

6                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Pyas Paheli

 

 

Usko Dekh Tabiyat Machli

Usko Dekh Niyat Bhi Fisali

 

Kuchh Hi Isaare Dekh Dekh

Me Pahuch Gaya Uski Dehli

 

Toap, Bammo Ke Dhamake Le

Surat Bas Ban Gaye Rupahli

 

Sach Me Jana, Sapno Me Jana

“Pyas” Bhi Hai Bas Ek Paheli

 

----------------------------

7                      GO TO TOP,  GO TO HOME

Uski Preet

 

Tu Jab Nahi Uske Hai Saath

Kyo Kar Ho Vo Tere Saath

 

Uska Bhi Kuchh Niyam Hai

De Is Haath, Le Is Haath

 

Door Rahe Aur Bole Baat

Gar Mil Bhi Jaye Saugat

 

Nahi Le Payega Dooriyo Me

Nahi Itane Lambe Tere Haath

 

Tune Jo Hai Bekheri Gandagi

Her Disha Ho Gaye Hai Gandi

 

Ab Bhi Ruk Ja, Apne Hi Upar

Na Kar “Pyas” Bhari Barsaat

----------------------------

8                      GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Chhaye Hai Ghata Ghanghor

Upar Se Suno Bole Hai Moar

 

Chup Chup Jo Chhupa Baitha

Nikal Aaya Hai Ek Chit Chor

 

Mann Masti Me Mad Mast Hua

Aa Gaya Preet Se Mahka Jor

 

Priyatama Ke Hai Aaye Pukar

Dekho Ho Gaye Jivan Ki Bhor

 

Mann Dhadkan Me Hua Magan

"Pyas" Pranay Laye Hai Aur Aur

----------------------------

9                      GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Hasino Ek Do Ankhe Maar Do

Hasino Ek Do Adao Ki Bahar Do

 

Hasino Isk Me Bewafayee Dedo

Beech Raste Thappad Maar Do

 

"Pyas" Sayari Karne Ja Raha He

Tum Bas Apnepan Se Sawar Do

 

----------------------------

10                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Uski Hi Bagiya Ka Mahakta Phool

Uski Hi Sanso Par Raha Tha Jhool

 

Kaisee Kaisee Kar Vah Gaye Bhool

Galat Rista Kyo Kar Gaye Kabool

 

Na Kuchh Kah, Na Tu Mujhe Chhed

Babul Tu Ab Lagne Laga Babool

 

----------------------------

11                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Ghadhe Ko Ek Din Gussa Aaya

Sun Sun Logo Ko, Bharmaya

Ye Kah Gaya, Gadha Kyo Kaha

 

Choti Se, Dupaki Se Dum

Phir Josh Me Aayee Dum

Mujhe Ghadhe Ki Dum Kyo Kaha

 

Pyas Ko Joro Ki Hasi Aaye

Jhooth Kis Disha Se Aaye

Chup Raha, Usne Kuchh Na Kaha

----------------------------

12                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Kal Jo Gam Tha

Aaj Nahi Hai

Kal Jo Khushi Thi

Aaj Nahi Hai

 

Lagta Hai

Raat Aur Din Ki

Bat Bilkul Sahi Hai

 

Ab Murkh Samjha

Jindagi Ab Hai

Ab Nahi Hai

 

Gam Gam Nahi Hai

Khushi,

Khushi Nahi Hai

 

Sach To Sach Hai

Jooth Bhi Sach Hai

Sach Ke Alawa

Kuchh Aur Nahi Hai

 

Murkh

Pyas Phekane Ka

Samay Sahi Yahi Hai

 

----------------------------

13                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Prakruti Insan Ko Nahi Samajhati

Insaan Prukruti Ko Samajhta Hai

 

Har Ek Me, Badlav Jab Lajim Hai

Prukruti Ke Aage Kyo Jukhta Hai

 

Gar Jhukata Hai To Kyo Rota Hai

Jab Khud Ki Tarkib Par Sota Hai

----------------------------

14                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Har Taklifo Se Laddey, Vah Hai Manav

Laad Laad Disha Moade, Vah Hai Manav

 

Pit Kar Bane, Gir Gir Kar Uthe, Vah Hai Nanav

Sikh, Sikxa Ka Amrut Banaye, Vah Hai Manav

 

Dhara Kya, Nabh Ko Bhede, Vah Hai Manav

Pahad Mitaye, Nidiyo Ko Disha De, Vah Hai Manav

 

Sab Jaan Jaye, Gin Gin Phade, Vah Hai Manav

Chankya Ki Tarah Jadd Se Ukhade, Vah Hai Manav

 

Jo Pedd, Pani Ki Tarah Sadde, Vah Nahi Hai Manav

Maare, Kaate, Kahye, Eisa Jaglee Nahi Hai Manav

----------------------------

15                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Pedo Se Kata

Aapno Se Juda Kiya

Kha Kha Lagaya,

Kabhi Nahlaya, Kabhi Jalaya

Kuta, Kata, Pita Aur Mitaya

 

Lakdi Ka To Koyi Dosh Nahi Tha

 

Par Eisa Sab,

Uske Saath Hua

Buddhijivi Manav

Ke Saath Kyo Hua

Aur Buddhimano Ko

Dekha Sota Hua

 

Ladki Ka To Dosh Kahi Tha

 

Hajaro Rote Hai

Phir Bhi

Hajaro Dhoka Khate Hai

Har Jagah

Maya Ka Roop Vahi Tha

 

----------------------------

16                    GO TO TOP,  GO TO HOME

Eik Andhe Ka Khoon Ho Gaya

Kitna Andha Janoon Ho Gaya

 

Andhe Ko Andhee Kholi Me Dala

Kitna Andha Kanoon Ho Gaya

 

Jab Sab Andhe, Raja Bhi Andha

Rakxak Kare Bhakxak Ka Dhandha

 

Mafiya, Police, Officer Aur Neta

Aasli Khooni, Bas Maje Abhineta

 

Jivan Ka Koyi Arth Na Dikhta

Pyas Me Hai Bas Paisa Dhikhta

----------------------------

17                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Bhari Botal Kitani Haseen Thi

Khus Thi, Sant Thi, Tal’leen Thi

 

Rind Kaise Isk Ka Mara, Pi Gaya

Use Khali Kar Gaya, Khud Ji Gaya

 

Khali Botal Kaha Kaha Phiki

Phir Bas Gandi Pani Se Bhari Dekhi

 

Botal Gar Ranginiyat Se Bhari Na Hoti

Najar Na Aati, Iss Kadfar Mari Na Hoti

 

Isk Me Bhi Kuchh Eisa Hi Hota Hai

Kissa Rind Aur Botal Jaisa Hota Hai

----------------------------

18                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Tera Tabassum, Tera Takallum

Hasin Jindagi Ya Bas Talatum

 

Sahi Raho, Jangal Me Hai Mangal

Nahi To Dhero Gam Aur Matam

 

Pyas Me Bas Kabhi Pani Na Utaro

Dato, Pyas Kabhi To Hogi Khatam

----------------------------

19                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Tera Tabusam Jab Yaad Aaya

Gul Aur Gulshan Yaad Aaya

 

Teri Aadaye Jab Yaad Aayee

Eak Hasin Khwab Yaad Aaya

 

Lehrati Julfe Jab Yaad Aayee

Jivan Ka Chaien Yaad Aaya

 

Tujh Se Judai Jab Yaad Aayee

Gamo Ka Samander Yaad Aaya

 

Surat Dekh Kya Kya Yaad Aaya

Sirat Dekh Ghar Gaya, Pata Khoya

----------------------------

20                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Jaise Jaise Laga Hosh Main Aane

Vaise Vaise Laga Josh Main Aane

 

Phir Laga Batorne Jane Kya Kya

Haath Aaye Bas Doshi Khajane

 

Sambhalna,  Kitane Rang Hai Pasre

Pyas Ka Bas Rang Roop Badhane

----------------------------

21                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Dhara Nangi, Nabh Nanga

Hawa Nangi, Paani Nanga

 

Pedd Nange, Phool Nange

Panchhi Nange, Har Jiv Nanga

 

Pahad Nange, Nadiya Nangi,

Parakruti Nangi,

Aur Uska Har Roop Nanga

 

Gar Kuchh Hai Na Nanga

To Insaan Na Nanga

Aur Insan Ka Saman Na Nanga

 

Har Cheej Rangi Hai, Dhaki Hai

Band Hai Ya Kapdo Se Ladi Hai

 

Jootha Kaise Dikha Sakta

Hai Khood Ko Nanga

Sach Hi Eik Din Karta Hai

Insan Ko Nanga

 

----------------------------

22                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Her Ladka Apne Main Natak Hai

Tu Kyo Khol Deti Phaatak Hai

 

Phatak Ke Andar Jo Jo Ghatak Hai

Jindagi Ki Jeet Ya Bhari Patak Hai

 

Galat Ho Jaye, Bekaar Hai Rona Dhona

Girebaan Pakadna To Hai Aur Hi Khona

 

Soach Isme Tera Bhi Kitna Natak Hai

 

Chala Teer Kab Vapas Hai Lauta

Nishna Khoota Ya Na Ho Khoota

 

Apni Dhara Aur Majdhar Main Chhoota

Sab Se Kahe Main To Hu Bilkul Achhoota

 

Par Teer Chalna Na Koyi Natak Hai ……………

 ----------------------------

23                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Main Isk Nahi Karta Khoon Karta Hu

Ek Ka Nahi Poore Parivar Ka Karta Hu

 

Mujhe Koyi Roak Sakta Hai To Roake

Isk Hu Marne Marne Ka Vyapar Karta Hu

 

Pahnave Main Rakha Deep Cut

Dekh Dekh Log Aaye Sat Sat

 

Najar Jamaye, Mann Lalchaye

Aaye Phir Kisi Bhi Pal Sankat

 

Kya, Kaisa Dikhane Ka Chav

Karna Chahti Hai Jivan Vikat

 

Jangal Main Kha Hota

Sabka Mangal Hai

Budhiheen Prajatantra

Main Hota Dangal Hai

 

----------------------------

24                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Duniya Kari Ulti Palti

Kamiya Mili Ulti Ulti

 

Karm Ko De Di Palti

Niyati Hui Ulti Sulti

 

Kya Kya Kama Khaya

Hoti Rahti Hai Ab Ulti

 

Maar Ab Kyo Khalti

Teri Pyas Ki Hai Galti

----------------------------

 

25                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Jo Mann Ho Guru Kabira

Na Maya Mar, Na Pira

Na Duvidah, Na Bhay

Na Kahlaye Adhira

 

Guru Kabira Ko Jo Padha

Pal Pal Paya Chain

Padh Kar Jo Aage Badha

Jivan Paye, Dinn Ho Ya Rein

 

Aag Aur Dooan Hai Aas Pas

Jivan Lay Ab Kaise Swas

Sagar Dede Ya Panghat Dede

Guru Kabira Ab Bas Teri Aas

 

Guru Kabira Patang Kat Gaye

Dhage Ki Reel Sab Bat Gaye

Dhara Main Bas Bahta Raha

Pyas Maya Se Sat Gaye

 

----------------------------

25                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Gandagi Ke Beech Jeena Bhi Koyi Jeena Hai

Bhayankar Maut Ka Badboodar Paseena Hai

 

Bas Naak Band Kar Lene Se Kuchh Fayda Nahi

Mauz Masti Ki Chadhar Oudhne Se Fayda Nahi

 

Jo Gandagi Saaf Kare Vahi Kahlata Nagina Hai

 

Phir Hasne Ka, Khelne Ka, Masti Ka, Maja Ayega

Jindagi Ke Har Sugandh Aur Swad Ka Maja Ayega

 

Gar Pavitrata, Swachchh, Saja, Tumhara Angana Hai

----------------------------

26                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Chadhna Hain Kitna Muskil

Utarne Main Khushi Hasil

 

Chadhne Main Dil Khushal

Utarte Vaqt Hota Behal

 

Ulat Pulat Soche Jahan

Bas Kar Jaye Jivan Kangal

 

Chadhte Utarte Jina Hai To,

Pyas Ko Kabhi Ghas Na Dal.

 ----------------------------

28                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Asabhya Janawar, Budha Ho

Kuchh Na Vichare

Sach Ko Swakare

Maut Sa Marta Hai

 

Sabhya Insaan, Budha Ho

Sab Kuchh Vichare

Aasaye Oudhe Oudhe

Marte Marte Jita Hai

Bhir Bay Maut Marta Hai

 

Har Sabhya Phir,

Iss Asabhyata Par Rota Hai

 

Poore Jivan Main

Insan Kha Sabhya Hai

Ye Nahi Malum Hota Hai

 ----------------------------

29                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Eik Din Aisa Hua

Bistar Se Vah Ghabraye

Bistar Use Katne Douda

Vah Door Ja Chhatpataye

 

Sayad Uski Galti Se Kabhi

Koyi Matam Hua Hoga

Sayad Kudh Ki Arthi Ke Bad

Baap Ki Arthi Ka Manjer Hoga

 ----------------------------

30                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Kabhi Bundo Bundo Main Milti Hai

Kabhi Dhara Pravah Liye Bahti Hai

 

Khush Hota Hai Tann Ka Her Poudha

Mere Mann Main Vah Barish Rahti Hai

 

Kabhi Preet Reet Liye Bahti Hai

Kabhi Aadar, Bhakti Liye Palti Hai

 

Mushkurahat Jami Har Phool, Kali Par

Mare Ghar Main Vah Barish Rahti Hai

 

Her Yuva Niyam Se Nahta Hai

Her Yuva Sayyam Chahta Hai

 

Her Gali Har Dagar Mahakti Hai

Mere Shahar Main Vah Barish Rahti Hai

 

Khooni Nadiya Andar Ya Bahr Nahi Bahti Hai

Eise Barish Main Pyas, Pyas Nahi Rahti Hai

----------------------------

31                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Isk Nahi Karta Main Vyapaar Karta Hu

 

Bas Main Paiso Se Bahoot Pyar Karta Hu

 

Jeb Katne Main Mujhe Koye Bhi Gam Nahi

 

Main Isk Kar Jindagi Jar Jar Karta Hu

 ----------------------------

32                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Chand Main Aag Lagi

Chandani Bhag Gayi

 

Raat Ghabra Gayi

Nabh Naram Pada

 

Dhara Goad Le Aa Gayi

 

Dhara Par Aag Lagi

Nabh Jal Le Baras Pada

 

Raat Murjha Gayi

Chand Chhoop Gaya

 

Chandani Phir Bhag Gayi

 

Hamesha Isk Pyas Liye Gayab Raha

Jab Jab Kartavya Ki Baat Aa Gayi

 ----------------------------

33                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Jooth Ne Sach Se Kaha

Kya Tune Bhi Koyi Dookan Hai Kholi

Tu Hai Bas Bekaam, Bekaar Nigodi

 

Maine To Khole Rakha Bada Bajaar

Yha Hai Bas Maar Aur Sanghar

 

Har Koyi Lagata Hai Dooni Boli

Har Ki Hai Isne Kismat Kholi

 

Sach Ki Muskurahat Phir Yah Boli

 

Main To Madmast Ander Rahti Hu

Niyati Aur Niyat Ke Bich Rahti Hu

 

Har Koyi Mujhe Dekh Sakta Hai

Apne Ander Ki Nangi Tasveer Nigodi

 

Tu Bahar Hai Bahar Ki Bahaar Dekh

Mera Phelav Dekh, Khud Ko Bhi Dekh

 

Na Nabh Jootha, Na Dhara Joothi

Na Vayu Joothi, Na Hariyali Joothi

Na Prakruti Joothi, Na Vikrooti Joothi

Na Jal Jootha, Na Agni Joothi

Na Manav Jootha, Na Niyati Joothi

 

Bas Jivan Jootha Aur Niyat Joothi

 

Aab Dekh Door Anant Main

Har Joothi Atma Mar Kar Bhi

Pyas Liye Tadap Rahi Nigodi

----------------------------

34                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Achchha Kiya Ya Bura Kiya

Sab Hi Sach Lga Is Darmiya

 

Her Ki Hotee Eik Hasti Hai

Aazad Rahti Hai Ya Fasti Hai

 

Na Karo Jori Ya Miya Miya

 

Waqt Ki Hai Rahti Najariya

Apni Najar, Apna Najariya

 

Samjha Jis Par Giri Bejuriya

 

Sooch Samajh Kar Jab Kiya

Mout Main Bhi Sahi Jab Jiya

 

Na Marega Jo Amrut Ab Piya

 

Main Loodka Jivan Loodka

Lagta Raha Jhatka Jhatka

 

Pyas Ka Sab Hai Kara, Diya

 ----------------------------

35                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Sayari Ho To Sahi Dad Bhi Ho

Sayari Badhe Aur Aabad Bhi Ho

 

Dad Dard Sahlati Hai

Dad Khushi Failati Hai

Khule Mann Se Dedo Dad

Dad Dono Dil Bahlati Hai

 

Dad Dushmani Mitati Hai

Dad Dosti Bhadati Hai

Dad Hosh Lati Hai

Dad Josh De Jati Hai

Dad Hasina Si Hai

Dad Sabhi Ko Bhati Hai

 

Dad Dard Nahi To Dad Par Dad Do

Dad Dard Ho To Dad Ko Fariyad Do

 

Dad Ki Bhi Dad Hoti Hai

Kuchh Hi Pal Bad Hoti Hai

Na Samajh Aye To Pooch Le

Nahi To Dad Barbad Hoti Hai

Dad Bhi Eik Badi Pyas Hai

Isiliye Dad Ki Fariyad Hoti Hai

 ----------------------------

36                    GO TO TOP,  GO TO HOME 

 

Main Kahta Hu Usse,

Mujh Ko Tujh Se Hai Pyar

Vah Kuchh Na Kuchh Kar

Mang Letaa Hai Udhar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Chalo Chalo Club

Hotel Ya Cinema

Nahi To Bana Khaungi

Tere Dil Ka Khima

 

Yah Karne Ashik Hai Taiyyar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Kuchh Chaha Na De

To Ruth Jaye

Na Chaha Mangele

To Chidh Jaye

 

Yah Sahne Ashik Hai Taiyyar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Kapdo Se Kaisa Apnapan

Kaat Kaat Karo Kam Aur Pang

 

Dono Ko Bhaya

Paraspar Tann Ka Ubhar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Uski Rahe Hamesha

Haal Chal Barabar

Ghar Ki Izzat

Bhale Ho Jaye Dal Barabar

 

Kya Kya Karne Dono Bane Makkar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Eak Rahasya Hai Isme

Mann Main Hai Ya Tann Main

Yah To Vahi Jane

Jinke Thirkan,

Khujali Hai Tann Main

 

Ab Pata Chala Dono Kyo Rahte Bekarar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Ya Pyas Ka Pyara Prahar

 

----------------------------

37                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Ban Ke Bhar Jab Bahar Aaya

Fudak Fudak Nikal Sayar Aaya

 

Koye To Dubta Mil Sakta Hai

Isiliye Main Nav Aur Patvar Laya

 

Har Ka Hota Na Aiksa Amrut

Main Manthan Karvane Sagar Laya

 

Kasmakas Main Pade, Gamo Se Jalo Ki Liye

Pyas Bhujaane Main Preet Ki Gagar Laya

 

Koyi To Luta, Toota, Futa, Mita Aa Sakta Hai

Isi Liye Main Malik Se Maang Sayar Laya

 

----------------------------

38                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Sun Rahi Preet Ki Aahaat To Dekho

Najar Ki Haseen Najakat To Dekho

 

Aahat Aagar Na Chahaat Ki Ho

Baate Agar Na Chahaat Ki Ho

Dhimi Dhimi Barsee Barsaat To Dekho

 

Hos Gavaye, Yado Main Khoye

Mare Se Jage, Karvate Le Le Soye

Isk Ki Kaisee Hai Kayanaat To Dekho

 

Usse Pahle Dhadakan Pahoochi

Nind Main Bhi Tadapan Pahoochi

Prem Pyas Se Paye Saugaat To Dekho

 

----------------------------

39                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Main Jitna Khana Khata Hu

Usse Jyada Hi Gawata Hu

 

Main Jitna Bhukha Rahta Hu

Utna Hi Logo Se Chidhta Hu

 

Main Jitna Khud Hasta Hu

Dusro Ko Utna Rulata Hu

 

Main Jitna Hi Jhukta Hu

Utna Jyada Jhukata Hu

 

Main Jitni Masti Karta Hu

Utni Hi Hasti Mitata Hu

 

Main Jitna Nanga Rahta Hu

Utni Logo Ki Pyas Bhadata Hu

 

Main Jab Jab Bura Karta Hu

Main Apne Main Nahi Rahta Hu

 ----------------------------

40                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Teri Barso Barso Se Baat Tohi Hai

Preet, Pasand Prasang Isme Do Hi Hai

 

Preet Se Bekhabar Nadan Preyashi

Preet Ki Reet Bin Jagi Hai, Soye Hai

 

Ang Ka Dhang Dhang Ab Dikhta Hai

Chhedkhani Kartaa Ab Sab Koyi Hai

 

Aasaon Ki Lash Padi Har Kone Main

Pyas Bhi Ab Pasar Pasar Ke Royi Hai

 

----------------------------

41                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Main Toota Mann Se

Tab Toota Tann Se

 

Main Ghata Buddhi Se

Hta Sab Samrudhi Se

 

Main Hta Pyar Se

Sab Mita Bhar Se

 

Main Rootha Jug Se

Jivan Chhuta Mujh Se

 

Pyas Ghati Mujh Main

Jab Main Ghata Mann Se

 

----------------------------

42                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Jab Se Gayee Hai Dhoop

Tum Kahan Gaye Ho Chhoop

 

Preeyasi Liye Preet Ka Roop

Pranay Khel Khele Gupchup

 

Jab Nayan Nayan Nij Ho Jaye

Preet Prakat Hoti Chupchup

 

Andhere Main Payda Tapan Main

Prem Pyas Badhe Gupchup

----------------------------

43                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Teri Seerat Main Jo Sona Hai

Teri Surat Main Jo Chandi Hai

Meri Murat Hai Chakit Chakit

Meri Murat Uske Aage Bandi Hai

 

Tere Josh Main Jo Loha Hai

Tere Hosh Main Jo Rawani Hai

Meri Buddhi Hai Chakit Chakit

Meri Kimat Kaudi Kaani Hai

 

Sach Baat Kahu Ab He Rani

Yah Sab To Aani Jaani Hai

Sab Pyas Se Pareshani Hai

 ----------------------------

44                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Jivan Ne Jo Baat Kahi Thi

Sunte Sunte Aankh Bahi Thi

 

Dhokha Ghadi, Dukh Aur Pida

Usma Koyi Aur Baat Nahi Thi

 

Maut Muskurate Bula Rahi Thi

Uski Bhi Yah Madat Sahi Thi

 

Khud Se Hi Hua Jar Jar Jivan

Har Pyas Se Mili Ghaat Vahi Thi

 

Pyas Param Parmeshwar Nahi Hai

Maine Sab Se Yah Baat Kahi Thi

----------------------------

45                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Band Ankhen, Neechee Ankhen

Jhanjhode Gayee Dil Ki Har Sankhen

 

Tasweer Main Surat, Gazlo Main Sirat

Dekh Pad Sab Ho Gaye Banken.

 

Honto Ka Nij Sa Nimantran

Preet Pyas Prakat Ho Tanken.

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

46                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Tune Hai Jo Saada Roop Dikhaya

Har Khubsurat Manjar Ko Ati Bhaya

 

Manjar Se Har Manjar Chhootee

Manjar Manjar Ke Dil Tutee

 

Tune Kya Hai Roop Dikhaya

Pyas Jab Se Kabhi Na Sustaya.

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

47                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Main Kaise Manu Koyee Mera Hai

Jaba Andar Sab Ke Andhera Hai

 

Main Kaise Manu Main Uska Hu

Pal Pal Duvidhao Ka Ghera Hai

 

Main Kaise Manu Man Mera Hai

Kahi Bhi Karta Rehta Basera Hai

 

Pyas Par Rhta Koye Jor Nahi

Jab Badalta Rahta Savera Hai

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

48                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Andhe Isk Ka Junoon To Dekho

Na Rha Koyee Kanoon To Dekho

 

Nikla Baha Kab Kahan Jamaa

Kaisa Hai Yah Khoon To Dekho

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

49                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Pyas Liye Jo Pyase Hain.

Kaisee Chala Rahe Sanse Hain.

 

Chini Pani Ka Ghol Jata.

Swarth Ke Phek Rahe Pase Hain.

 

Pyas Liye Jo Sanse Hain.

Bhay Bhartee Sanse Hain.

 

Lambi Lambi Umr Liye.

De Jaati Aas Ki Laase Hain.

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

50                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Tu Mera Bhagwan

Main Tera Bhagwan

Aa Poojle Insaan.

Aa Saath Saath Purn Kare,

Eak Dooje Ke Sachche Armaan

 

Tu Mera Bhagwan

Main Tera Bhagwan

 

Main Karloo Tera Maan

Tu Karle Mera Maan

To Risto Ki Ho Pahchaan

Jivan Ka Ho Sahi Sammaan

 

Tu Mera Bhagwan

Main Tera Bhagwan

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

51                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Andhere Se Ujalye Main Aaya.

Kitna Roya, Kitna Chillaya.

 

Phir Andere Ka Bulava Aaya.

Na Na Kar Kyo Roya, Chillaya.

 

Na Suhaya, Jo Kal Tha Bhaya.

Manav Tera Yah Dhang Na Bhaya.

 

Kyon Pyas Liye Itna Itraya

Soach Kya Paya, Kya Gavaya

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

52                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Main Khud Katar Hua

Dil Painee Dhar Hua

 

Dekhte Dekhte War Hua

Isk Main Jina Dushwar Hua

 

Phir Jivan Aise Jina Hua

Pyas Ka Bhi Vyapaar Hua

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

53                    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Riste Ghar Main Paida Nahi Hote

Kahin Rah Par Milte Hain.

 

Maalik Ka Prashad,

Chahne Walo Ki Ghani Chah Par Milte Hai.

 

Guru Kabira Ne Di Hai Dikxha

Lalat Lagaoo Aise Shikxa

Kavya, Jan Ki Chetna Bane

De Do Kuchh Aise Bhikxa

----------------------------

 

 

 

ARVIND VYAS “PYAS”

arvindvys@yahoo.co.in