Pyas Home

1

 

Kabhi Bundo Bundo Main Milti Hai

Kabhi Dhara Pravah Liye Bahti Hai

 

Khush Hota Hai Tann Ka Her Poudha

Mere Mann Main Vah Barish Rahti Hai

 

Kabhi Preet Reet Liye Bahti Hai

Kabhi Aadar, Bhakti Liye Palti Hai

 

Mushkurahat Jami Har Phool, Kali Par

Mare Ghar Main Vah Barish Rahti Hai

 

Her Yuva Niyam Se Nahta Hai

Her Yuva Sayyam Chahta Hai

 

Her Gali Har Dagar Mahakti Hai

Mere Shahar Main Vah Barish Rahti Hai

 

Khooni Nadiya Andar Ya Bahr Nahi Bahti Hai

Eise Barish Main Pyas, Pyas Nahi Rahti Hai

 

2

 

Main Kahta Hu Usse,

Mujh Ko Tujh Se Hai Pyar

Vah Kuchh Na Kuchh Kar

Mang Letaa Hai Udhar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Chalo Chalo Club

Hotel Ya Cinema

Nahi To Bana Khaungi

Tere Dil Ka Khima

 

Yah Karne Ashik Hai Taiyyar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Kuchh Chaha Na De

To Ruth Jaye

Na Chaha Mangele

To Chidh Jaye

 

Yah Sahne Ashik Hai Taiyyar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Kapdo Se Kaisa Apnapan

Kaat Kaat Karo Kam Aur Pang

 

Dono Ko Bhaya

Paraspar Tann Ka Ubhar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Uski Rahe Hamesha

Haal Chal Barabar

Ghar Ki Izzat

Bhale Ho Jaye Dal Barabar

 

Kya Kya Karne Dono Bane Makkar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Eak Rahasya Hai Isme

Mann Main Hai Ya Tann Main

Yah To Vahi Jane

Jinke Thirkan,

Khujali Hai Tann Main

 

Ab Pata Chala Dono Kyo Rahte Bekarar

Kya Ise Bhi Kahte Hai Pyar

 

Ya Pyas Ka Pyara Prahar

 

3

 

Jooth Ne Sach Se Kaha

Kya Tune Bhi Koyi Dookan Hai Kholi

Tu Hai Bas Bekaam, Bekaar Nigodi

 

Maine To Khole Rakha Bada Bajaar

Yha Hai Bas Maar Aur Sanghar

 

Har Koyi Lagata Hai Dooni Boli

Har Ki Hai Isne Kismat Kholi

 

Sach Ki Muskurahat Phir Yah Boli

 

Main To Madmast Ander Rahti Hu

Niyati Aur Niyat Ke Bich Rahti Hu

 

Har Koyi Mujhe Dekh Sakta Hai

Apne Ander Ki Nangi Tasveer Nigodi

 

Tu Bahar Hai Bahar Ki Bahaar Dekh

Mera Phelav Dekh, Khud Ko Bhi Dekh

 

Na Nabh Jootha, Na Dhara Joothi

Na Vayu Joothi, Na Hariyali Joothi

Na Prakruti Joothi, Na Vikrooti Joothi

Na Jal Jootha, Na Agni Joothi

Na Manav Jootha, Na Niyati Joothi

 

Bas Jivan Jootha Aur Niyat Joothi

 

Aab Dekh Door Anant Main

Har Joothi Atma Mar Kar Bhi

Pyas Liye Tadap Rahi Nigodi

 

4

 

Chhaye Hai Ghata Ghanghor

Upar Se Suno Bole Hai Moar

 

Chup Chup Jo Chhupa Baitha

Nikal Aaya Hai Ek Chit Chor

 

Mann Masti Me Mad Mast Hua

Aa Gaya Preet Se Mahka Jor

 

Priyatama Ke Hai Aaye Pukar

Dekho Ho Gaye Jivan Ki Bhor

 

Mann Dhadkan Me Hua Magan

Pyas Pranay Laye Hai Aur Aur

 

5

 

Kal Jo Gam Tha

Aaj Nahi Hai

Kal Jo Khushi Thi

Aaj Nahi Hai

 

Lagta Hai

Raat Aur Din Ki

Bat Bilkul Sahi Hai

 

Ab Murkh Samjha

Jindagi Ab Hai

Ab Nahi Hai

 

Gam Gam Nahi Hai

Khushi,

Khushi Nahi Hai

 

Sach To Sach Hai

Jooth Bhi Sach Hai

Sach Ke Alawa

Kuchh Aur Nahi Hai

 

Murkh

Pyas Phekane Ka

Samay Sahi Yahi Hai

 

6

 

Maine Chaha Tha, Maine Kiya

Jaisa U’se Jina Tha, Vah Jiya

 

Prakruti Insan Ko Nahi Samajhati

Insaan Prukruti Ko Samajhta Hai

 

Har Ek Me, Badlav Jab Lajim Hai

Prukruti Ke Aage Kyo Jukhta Hai

 

Gar Jhukata Hai To Kyo Rota Hai

Jab Khud Ki Tarkib Par Sota Hai

 

GO TO TOP,  GO TO HOME 

 

ARVIND VYAS “PYAS”

arvindvys@yahoo.co.in

 

YouNeverCall
Cell Phones