Pyas Home

Sahaj Gita Gyan

 

Gita Sahaj Siksha

Le lo boal boal,

Har Hari Ichchha

Jivan pariksha me

Mile subha samiksha

 

1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10

 

1

Khub mahnat ki

Par chaha na huaa

Chhoad us par sochna

Bas yahi hai sochna

Bhul use jo na huaa

 

Har Hari Ichchha

Jo huaa achchha huaa

 

2   GO TO TOP,  GO TO HOME

Koshishe jari hai

Safalta hari hai

Aas pas bekari hai

Na soch jivan

dhoh raha hai

Yaad rakh

Hari lila nyari hai

 

Har Hari Ichchha

Jo ho raha hai

Achchha ho raha hai

 

3    GO TO TOP,  GO TO HOME

Hari ka dhyan hoga

Lagan se kaam hoga

Sach soch ka maan hoga

Dushkarm paap saman hoga

 

Har Hari Ichchha

Jo hoga achchha hoga

 

4    GO TO TOP,  GO TO HOME

Samajhna itna sa hai

Sab na samajhna sa hai

Jivan jaroori khel hai

Karm sikka uchhalne sa hai

Parinam bas maanne sa hai

Jo gaya swapan sa tha

Jo hai bas jaanne sa hai

 

Jo vas me nahi

Use mann me kyo boate ho

 

Har Hari Ichchha

Tumahra kya gaya

Jo tum roate ho

 

5     GO TO TOP,  GO TO HOME

Khali haath aaye the

Khali haath jana hai

Dukh dard khud ka

Paida kiya tarana hai

Kuchh khoana bas

Khud se ek bahana hai

Mere pas jo hai mera hai

Vah khona nahi chahiye

 

Mann me kaisa

Vaham bo diya

 

Har Hari Ichchha

Tum kya laye the

Jo tumne kho diya

 

6    GO TO TOP,  GO TO HOME

Janm mrutyu, upajna

Nast hona

Prakruti ka niyam tha

Ho gaya

Kisi ke vas me na tha

Ho gaya

 

Har Hari Ichchha

Tumne kya paida kiya

Jo nast ho gaya

 

7    GO TO TOP,  GO TO HOME

Sunya se upja,

Maa najar aaye

Kayee aur najar aaye

Riste kahlaye

 

Riti ko, ritu ko

Kapade pahnayee

Shadi ke jode,

Kafan pahnaye

 

Man’mana makan

Maan pahchan

Dhire dhire sab aaye

 

Mann me ghar kar gaye

Kitane saaye

 

Kabhi utara kabhi chadhaya

Koye na bhaya koyi aati bhaya

 

Har Hari Ichchha

Tumne jo liya

Yahi se liya

Jo diya

Yahi par diya

 

8     GO TO TOP,  GO TO HOME

Kayee jamane se

Yahi par hu

Kal Ashok tha

Akbar tha

Aaj janta hu

Kal kuchh aur hoga

 

Har Hari Ichchha

Jo aaj tumhara hai

Kal kisi aur ka tha

Kal kisee aur ka hoga

 

9    GO TO TOP,  GO TO HOME

Suraj ugata hai

Dhalta hai

Chaand bhadhta hai

Ghatta hai

Jivan kabhi vyarth hai

Kabhi s-arth hai

Shareer kabhi swasth hai

Kabhi roago se grasth hai

 

Jivan ka a’nt mrutyu hai

Mrutyu ka a’nt jivan hai

Jo ho raha hai

Jo dikh raha hai

Bas kam hai

 

Srusti a’nant hai

Honi ka na a’nt hai

 

Har Hari Ichchha

Vayasth chinta karte ho

Parivartan hi

Srusti ka niyam hai

 

10    GO TO TOP,  GO TO HOME

 

Sab Samjhaya Bhujhaya

Sahayog de de lubhaya

‘Pyas‘ me dooba dooba

Mann maan na paya

 

Budhdhi bhrast huyi

Tab niyati du’st huyi

Samajh le pidaye 

Hai khud hi li huyi

 

Har Hari Ichchha

Ab soch le achchha

Karm kar le achchha

 

 

 

 

OAM TAT SAT

 

 

ARVIND VYAS “PYAS”

arvindvys@yahoo.co.in

 

YouNeverCall
Cell Phones